Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
Rukh havaaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain
Pahle har cheez thi apni magar ab lagta hai
Apne hi ghar mein kisi doosre ghar ke hum hain
Waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon tak
Kisko maloom kahan ke hain kidhar ke hum hain
Chalte rahte hain ki chalna hai musafir ka naseeb
Sochte rahte hain ki kis raahaguzar ke hum hain
Gintiyon mein hi gine jaate hain har daur mein hum
Har qalamkaar ki benaam khabar ke hum hain
Gazal Sung by - Jagjit Singh