शुक्रवार, 31 अगस्त 2012

DhooP hai kya aur saaYa kya hai ab maLoom hua , Gazal lyrics

 
 
  
                       
 
DhooP hai kya aur saaYa kya hai ab maLoom hua
 
 
     dhooP hai kya aur saaYa kya hai ab maLoom hua
     ye sab khel tamasha kya hai ba maLoom hua

     hanSte phool ka chehRa dekhooN aur bhaR aayi aanKh
     apNe saath ye kissa kya hai ab maLoom hua

     hum barsoN ke baad bhi unKo ab taq bHool na paaye
     dil se unka rishtaa kya hai ab maLoom hua

     sehra sehra pyaase bhaTke saari umR jale
     baadal ka ik TukDa kya hai ab maLoom hua 
 
                        Gazal by  Jagjit Singh 

Neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai , Gazal lyrics






                   Tasrem Nimana


Neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai

Neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai

     Dekh lena abhi kuch der mein duniya kya hai


     Baandh rakha hai kisee sonch ne ghar say humko

     Varna apna dar-o-deewar se rishta kya hai


     Ret ki eent ki pathar ki hoon ya mitti ki

     Kisi deewar ke saye ka barosa kya hai


     Apni daanist me samjhay koi duniya `shahid'

     Warna hathon mein lakiron ke ilaawa kya hai

Benaam Sa Ye Dard gazal lyrics





Benaam Sa Ye Dard
Benaam Sa Ye Dard

Tehar Kyun Nahi Jaata
Jo Beeth Gaya Hai Woh
Guzar Kyun Nahi Jaata

Sub Kuch To Hai 
Kya Dhoondthi Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai Mein Waqt Pe 
Ghar Kyun Nahin Jaata
Jo Beet Gaya Hai Woh
Guzar Kyun Nahin Jaata

Woh Ek Hi Chehra Toh Nahi
Saare Jahaan Mein
Jo Door Hai Woh Dilse Utar
Kyun Nahin Jaata
Jo Beet Gaya Hai Woh
Guzar Kyun Nahin Jaata

Benaam Sa Ye Dard
Tehar Kyun Nahi Jaata
Jo Beeth Gaya Hai Woh
Guzar Kyun Nahi Jaata
                          Jagjit Singh


Jab kisi se koi gila rakhnaa , Gazal lyrics



  
                                                                                                 Tarsem Nimana

(Jab kisi se koi gila rakhnaa)


 Jab kisi se koi gila rakhnaa
     saamne apne aai'ina rakhna

     yun ujaalon se waasta rakhnaa

     shamma ke paas hi hawa rakhnaa


     ghar ki taameer chaahe jaisi ho

     ismen rone ki jageh rakhnaa


     masjiden hain namaaziyon ke liye

     apne ghar mein kahin khuda rakhnaa


     milan-julna jahan zaroori ho

     milne-julne ki hauslaa rakhnaa

      Jagjit Singh