बुधवार, 5 सितंबर 2012

Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain , Gazal lyrics







                                Tarsem Nimana
                         
Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain

Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain 

Rukh havaaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain 

Pahle har cheez thi apni magar ab lagta hai 
Apne hi ghar mein kisi doosre ghar ke hum hain 

Waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon tak 
Kisko maloom kahan ke hain kidhar ke hum hain 

Chalte rahte hain ki chalna hai musafir ka naseeb 
Sochte rahte hain ki kis raahaguzar ke hum hain 

Gintiyon mein hi gine jaate hain har daur mein hum 
Har qalamkaar ki benaam khabar ke hum hain

       Gazal Sung  by - Jagjit Singh

Aadmi aadmi ko kya degaa , Gazal lyrics


Aadmi aadmi ko kya degaa
Aadmi aadmi ko kya degaa

     Jo bhi dega wohi khuda dega

     Mera qaatil hi mera munsib hai

     Kya mere haq mein faisla dega

     Zindagi ko kareeb se dekho

     Iska chehra tumhe rulaa dega

     Hamse pucho dosthi ka silaa

     Dushmanon ka bhi dil hilaa dega

     Ishq ka zehar pee liya 'faakir'

     Ab maseeha bhi kya dawa dega
Gazal sung by - Jagjit Singh

Aaj ke daur mein ae dost ye manjhar kyoon hai , Gazal lyrics







Aaj ke daur mein ae dost ye manjhar kyoon hai.


Aaj ke daur mein ae dost ye manjhar kyoon hai.

     Zakhm har sar pe har ik haath mein paththar kyoon hai


     Jab haqeeqat hai ke har zarre mein tu rehta hai

     Fir zamin par kahin masjid kahin mandir kyoon hai


     Apna anjaam to maaloom hai sabko phir bhi

     Apnee nazron mein har insaan sikandar kyoon hai


     Zindagi jeene ke qaabil hi nahin ab "Faakir"

     Warna har aankh mein ashkon ka samandar kyoon hai

 Gazal Sung by - Jagjit Singh

रविवार, 2 सितंबर 2012

Tujhse Milne Ki Saza Denge Tere Shehar Ke Log , Gazal lyrics




                         Tarsem Nimana


Tujhse Milne Ki Saza Denge Tere Shehar Ke Log

Tujhse Milne Ki Saza Denge Tere Shehar Ke Log

Yeh Wafaao Ka Sila Denge Tere Shehar Ke Log

Tujhse Milne Ki Saza Denge Tere Shehar Ke Log
Kya Khabar Thi Tere Milne Pe Qayamat Hogi

Mujhko Diwana Bana Denge Tere Shehar Ke Log

Tujhse Milne Ki Saza Denge Tere Shehar Ke Log
Teri Nazaro Se Gira Ne Ke Liye Jaan-e-Haya

Mujhko Mujrim Bana Denge Tere Shehar Ke Log

Tujhse Milne Ki Saza Denge Tere Shehar Ke Log
Keh Ke Deewana Mujhe Maar Rahe Hai Patthar

Aur Kya Es Ke Siva DengeTere Shehar Ke Log

Tujhse Milne Ki Saza Denge Tere Shehar Ke Log

Yeh Wafaao Ka Sila Denge Tere Shehar Ke Log


                  Gazal by Jagjit Singh